Dikhawa

Aditya Lotia
Nov 7 · 1 min read

Ye sab dikhawa hi to hai, hai na?

Ye khushi, ye aasu,
Wo pathar, wo taraazu.
Teri aakhe, meri muskan,
Ye jhute meherban aur kadardaan.

Ye sab dikhawa hi to hai, hai na?

Ladkhada k girna, gir k phir uthna,
Apne ilaake k hakk k liye usi pe muttna.
Zindagi jeene ki khwashish,
Apni hi maut ki numaish.

Ye sab dikhawa hi to hai, hai na?

Kyu jee rahe hai, kyu mar rahe hai?
Kyu jor-jor se yu aahe bhar rahe hai?
Ye baagi, ye parwane,
Ye apni dhun me hi diwane.

Ye sab dikhawa hai, hai na?

Aage kaha jaana hai?
Kis raah pe mandrana hai?
Kisi ko koi ilm bhi to nahi,
Aur ye koi film bhi to nahi.

Ye sab to dikhawa hai, hai na?

Aditya Lotia

Written by

Reader. Writer. Dreamer. Technologist.