Nov 1 · 1 min read
Friday Shayri
Kuch andaaz karo kuch nazar-andaaz karo tumhari kismat tum ajmaya karo !
Waqt ke saath cheeze badalti hain
Aap bhi ise samja karo
Dar se na dar kar kaam karna
Iska bhi tum sweekar karo
Zindagi ka nasha hi kuch aur hain
Takdir ko tum salam karo
Imtihaan ki ghadi ayi hain
Aisa na kabhi tum socha karo
Khel hain ye bas jaankar
Aage kadam badhaya karo
Dosti ka daman hain yahan
Dushmanoko barbaad karo
Kabhi pyaar karo kabhi ikraar karo, ishq karne ke liye na inkaar karo
Woh mohabbat hi kya jisme gam na ho janab, aap ki kismat aap khud hi ajmaya karo
