Don’t Travel. Its Night. Pt-V

Stella
5 min readOct 24, 2022

--

{In this story, the author has omitted the real names to be restricted from Publicly Identity Revealing legal issues. This story is recommended for all those who prefers to travel at night and not for those who actually travels at night. Reader discretion advised. The reader will read at its own responsibility.}

Part V out of V

1 Day Later At Night

Iss incident ka akhbaar me chapne par woh akhbaar raat me kareeban nau dus baje kisi ke haath aaya tha.

train me sab log aapas me halhi me ghatey hue bags aur usme se nikalte khoon ke incident ke baare me charcha kar rahe the.

Train apni jagah se chal chuki thi aur ye sab yaatri isi ghatna ki characha train ke safed bulb aur kaale ho chuke pankhe ke neeche karne me lage hue the.

Birth ke upar wali seat par lete ek lagbhag 40–45 saal ke duble-palte. Lagbhag vridhhavastha me pravesh karne wale ek vyakti ne uss characha ko todkar ye sab keh sunaaya tha.

Aur tabhi kisi ne unse pramaad ke taur par pooch liya tha ki hum aapki baat ko kyun maanein.

Unhone jawab, “main vahi hoon jo andhere me sone wali birth par kambahl naak tak dhakkar leta tha jise ye dono andhere ke karan nahi dekh paaye.”

Ab train me charcha shuru ho gayi thi…

Tabhi ek window seat ke paas baitha vyakti bola “lekin woh toiletman jiska bag gateman ne sarkaaya tha woh toiletman tab kyun nahi utar gaya jab gate man ghusa tha.”

“Ho sakta hai gateman ne use dekh liya ho, aur ye baat toiletman jaan gaya ho.”

“Lekin toiletman uss chote se station par hi kyun nahi utar gaya. Usne toh mask bhi laga rakha tha toilet se baad me bahar aane se pehle, isiliye gateman ne tab dekha bhi nahi tha”

“Shayad toiletman ka plan Jami station par utarne ka hoga aur woh bag ko chhodkar apne saathiyon ke saath yahi se bhaag jaane ki baat kar raha hoga. Aur baad me usne mask isliye utaar diya hoga kyunki kya pata woh kisi bhi tarah se apne aapko sandiddh nahi jatana chahta hoga,”

“Aur gateman phir shuru me jaate jaate kyun ruk gaya tha”

“Kyunki toiletman ne use andar aate hue dekh liya tha, aur gateman ne toiletman ka bag bhi hataya tha. Gateman ke liye woh ek yaatri tha jisne use dekh liya tha aur woh uske liye khatra ban sakta tha”

“Haan aur jab woh boond gateman ke neeche baithe waqt uske upar giri hogi uss waqt iske maan me aaya hoga kyun na dono bags ka ilzaam isi par daal diya jaaye. laash ko toh pehchana nahi ja sakta tha isiliye koi shaq bhi nahi hoga. Shayad , Isilye woh baar baar gate par jaakar uske raaste me aa raha tha.”

“Lekin jab ye dono toiletman ise apni identity bata raha tha toh woh kya tha”

“toilet man phone par identity yaad karne ki baat kar raha tha shayad use saathiyon ne uske liye ek fake identity thi aur jiski details se usne khasi se jami tak ki ticket book ki thi aur usi ki details woh yaad kar raha tha taaki kabhi kagar woh pakda jata hai toh plan B ke anusaar woh apni identity batayega aur records me check karne par uska naam ticket list me aa jayega.”

Uss samay agar koi ticket book karwata tha toh use apni personal details ke saath address and phone number bhi dena hota tha. Investigation me agar kisi sandigdh ka booked ticket milta tha uski Baaki details asaani se nikaal li jaati thi. shayad isiliye tab station master ne gateman ko chhod diya hoga.

Usko bharosa ho gaya hoga ki uske baare me agar kuch hota hai toh woh uss tak asaani se pahunch jaayege.

lekin jab baat karne ke dauraan toiletman gateman ko apni fake identity bata raha tha toh gateman ne soch liya ki ye kabhi apni asli identity nahi batayega isilye uski identity ko isne apni identity bana liya aur phir uska plan bhi iska plan A ban gaya jisme ise bhagna tha aur pakde jaane par ye identity batakar bach jaana tha.

Gateman dono khoono ko ilzaamn toiletman par lagana chahta tha lekin toiletman sirf bhaagna chata tha kyunki uske pass plan bhi tha aur plan B bhi. Uske plan A ne toiletman ka saath diya aur useeke plan B ne gateman ka saath diya.

toilet man gateman se dar rha tha aur gateman apna poora ilzaam uspar dalna chah raha tha.

lekin shayad gateman ko iss tarah main plateform par bhaagte dekhkar (kyunki woh dabbe ke toiletman ke saamne wale gate se utra tha) woh bhi itni raat me station master ne pakad liya hoga toh usne toiletman ko pakadne ka bahana mara hoga aur toilet man ki fake identity bata di hogi.

ho sakta hai station master ko bhi isne sirf woh hi cheezen batayi ho jo isko uss samaye wahan se jaane me aur saccha dikhaane me madad kar rahi ho aur baaki chupa li hon!

Lekin phone par baat karne se pehle toiletman lagbhag do ghante se kya karta raha

mujhe nai pata ye toiletman kab aya hoga kabse baitha hoga aur ye kaun hoga.

Kyunki meri aankh tab khuli thi jab Vagni station aane wala tha.

ye sari charcha ab bhi chal hi rahi thi

train ki raftaar kaam hone lagi aur train ek chote se station par ruk gayi.

Upar se woh shaqs neeche utra aur bahar train se neeche utar kar chala gaya.

Lagbhag aadhe ghante baad khatam hoti hui charcha ke dauraan woh newspaper padhne wale ko raat me neend aane lagi toh woh usi jagah jaane ke iraade se dono birthon par pair rakhkar upar jhatke se chadne wala tha.

“Arey unka Jami to Vagni ka ticket yaheen choot gaya hai” news paper wale ne beech me hi rukkar vahan pade ticket par dhyaan diya.

“Budhapa aane wala hai lekin ab bhi yaadasht tez hai…S..San…Sanjay ki…” pehle hanste hue phir ticket ko uthakar uspar likha naam padhte hue achanak dar aur phir poori boghi me phir ek jana pehchana sannata aur sannate me train ke chalne ki awaaz chhaa gayi.

And Ashima ends her turn in Bornfire to tell another story.

--

--

Stella

I have nothing to say but If I may ask ... can we have a coffee together.☕