Safar : Wo Char Din Ka

THE EXPLORING MINDS
6 min readJun 28, 2023

--

(The author of this article is Bipasa Halder, The Exploring Minds)

College mein aane ke baad, 1st year se hi bohat sunai de rehi thi ek baat bohat sare batchmate ke jubaan mein. Jab hum 3rd year me honge taab hum bhi jayenge tour mein. Mujhe samajh nehi arehi thi ke kis tour ke bareme baat ho rehi hai. Phir mere roommate ne mujhe details me samjhaya, sarkari agriculture clg parna sabse bara plus point to ehi hai. 3rd year me har ek students ko milta hai woh opportunity, 18 days mein India ke 18 states ghumne ka, rehena, khana, traveling sab university ka kharcha. Waise bhi mujhe traveling bohat jyada pasand hai. Naya naya jagha, naye naye log aur unki cultures aur khana. Aur peheli baar me apne family ke bina jaungi kahi pe woh bhi 18 days ke liye. Doston ke sath 18 days 18 states me ghumna koi magical sapne jaisa lag rehi thi. Abhi sirf 3rd year me jane ka intezar. Besabri se beet rehi thi ey do saaal.

Finally, 3rd year mein agaye hai. Abhi 1st semester khatam hote hi jo semester vacation milega one month ka, taab hi start hoga ey tour. Besabri aur bechaini khatam hone ka naam hi nehi le rehi hai.

Tour suru hone ka waqt bohat nazdig hai abhi. University ka sare colleges ka sare 3rd year students ko ek jagha bulaya ek meeting ke liye. Sare colleges se 2 guides jayenge students logo ke sath, aur baki jo jo rules follow karna hoga ish lambe si tour me sare samjhaya gaya. Har ek college ke liye train ka compartments alag alag hogi. Par batkismati to dekho mere, humare college ke compartment mein ek seat kam hua to ek student ko dusre compartment mein shift hona para, aur woh student me thi.

Photo by Timo Stern on Unsplash

Day 1:
Ish lambi si tour ka pehela din ka safar ka suruwat ho gaya. Jish compartment mein mere seat thi mein un students me se kisiko nehi janti thi. Aur mere paas wale seat me ek ladka tha. Me waise bhi ladko ke se utna baat nehi kar pati thi suru se hi. Maan hi maan socha mere sare excitement me pani phir gayi. Woh ladka bohat cute aur masum sa tha dekhne mein, paar bohat jyada baat karne laga mujhse. Kuch der baad me uska naam jaan payi, naaam tha Akash. Me thodi bohat irritate feel karne lagi. Usne mere sath baatein karna start kiya mere topi ko leke, uske baad aise lagne laga ke train se jyada tez to iski juban chalne laga.
Finally 10 ghante ke baad humlog apne pehela destination me poucha, the garden city Bangalore. Ek hotel pe humara kamra booked tha, waha pe fresh aur ready hone ke baad hum log nikal pare ghumne. Ghumne jane ke time pe bhi phir se woh most irritating boy mil gaya. Uske sath hi pura rasta eksath chalna par raha tha. Dhire dhire ushe sehene ki adaat ho gayi. Hum logo eksath ek stall mein idli, dhosa khaya. Uske baad raat ke andhere mein pura banglore saher bohat cham chamkta nazar ayi. Raat bohat ho gaya tha, me Akash ko good night bolke apne hotel room me ageyi.

Day 2:

Dusra din ka safar subha subha jaldi hi hogaya, aaj Hydrabad jayenge. Biriyani mujhe bohat jyada pasand hai, aur Hydrabadi biriyani to world famous hai, Hyderabad me kuch ghume yea na ghume biriyani to khaungi hi. Phir se Akash ke sath baithna para, woh aaj thoda kam irritating lag raha tha, kiyu ki abhi thoda bohat dosti hogaya hai usse. Pata chala ushe bhi biriyani bohat pasand hai. Toh hum logo ne thik kiya ke Hydrabad jaake sabse pehele biriyani khayenge hum log. Hydrabad pohach gayi, station ke paas hi tha hotel. Waha pe fresh hoke me aur akash nikal pari biriyani khane ke liye. Paas me hi ek sundar sa famous biriyani ka resturant tha. Wahi pe chala gaya aur do chicken biriyani and cold drinks order kiya. Order aate aate thoda bohat gappe marna start kiya. Isshe pehele mere koi ladka dost nehi tha. Akash aisa pehela ladka tha jiske sath itne kaam waqt me itna comfortable ho gayi thi mein. Biriyani khane ke baad pata chala ki hydrabadi biriyani itni famous kiyu hai, sacchi mein koi magical taste tha ushme. Khane ke baad Dono ka bill akash ne hi pay kiya mere hazar mana karne ke baad bhi. Uske baad hum log apne apne team ko join kiya. Uske baad humlogo ko charminar me leke gaya. Waha ke haar ek cheez ko choo ke dekha Maine.

Day 3:

Aaj humlogo ka safar Mumbai taak hai. Mumbai India gate ke waha pe humara hotel booked hai. Akash ke sath ish teen dino ke pehechan me hi aise lagna laga tha ke Kahi sadiyo se janti hoon me ushe. Uski ankhon mein ek khaas jhalak mehesoos hone laga. Mumbai me train se utarne ke baad pura tour me akash ko nehi dekha Maine, mere nazar mano Mumbai city ko dekhne ke jaga ushe dekhne ke liye tarash rehi thi. Mumbai seher mein itna ronak hone ke baad bhi, uske bina sare nazare feeka feeka lagne lagi. Mumbai tour khatam hone ke baad jab hum hotel me wapasi kar rehe the taab mujhe akash mili. Akash mujhe bolne laga miss kar rahe the kya mujhe, Maine bohat kharab se jhut bola mein kiyu miss karungi tumhe. Woh hasna start kiya, me sarma ke room me agayi, aur woh pagal chillake bolne laga I missed you tooo.

Photo by Jake Blucker on Unsplash

Day 4:

Aaj humara tour goa ke Beach mein hai. Train me akash mujhse puchne laga tum kisi se pyar karte ho, i mean tum kisike sath relationship me ho. Mujhe esab baatein bilkul pasand nehi thi, mein thoda nervous hoke boli nehi nehi me kiyu kisi se pyar karungi. Akash jor jor se hasne laga. Maine bola kya hua ishme haasne wali kaunsi baat hai. Ushne bola nehi nehi kuch nehi, accha hai. Uske baad akash ne bola ek baat bolu, nehi choro kuch nehi. Mujhe bechaini hone lagi, maine force kiya bolne ke liye. Usne bola tum bohat pyari ho aur baki baatein kabhi dusre din bolunga. Goa pohach gaye hum log. Sablok jaldi se hotel me change karke shorts, sunscream aur hat ke sath beach me aya. Mujhe tairna nehi ata isliye me paani me nehi utar rehi thi. Akash mere paas aya aur bola bohat acchi lag rehi ho, Maine thoda sharma ke bola thank u. Ushne bola chalo paani me jate hai, Maine bola nehi tum jao mujhe tairna nehi ati. Ushne mera haat pakarke dourna suru kiya aur bola ghabrao maat me hoon na. Paani me uske haat pakar ke hi dubki mari. Aisa feel ho raha tha pura samundar mujhe bol raha hai you love akash. Paani se nikal ne ke baad mera pura badan bheega hua tha, akash mere taraf se nazar hata nehi paa rehi thi, ek ajeeb sa hulchul thi dono mein hi. Me apne room me agayi. Aur sochne laga aisa ehesas to pehele kabhi nehi feel kiya Maine. Kya mujhe Sach mein akash se pyar hogaya, khud se hi puchne lagi mein. Esab sochte sochte hi ghar se mujhe ek call aya, call me Maa bolne lagi jaldi se flight pakar ke ghar ajao, ghar mein ek emergency hogayi aur mera jana zaroori hai. Par mujhe jaane ka bilkul bhi maan nehi thi. Mujhe akash ke sath aur bhi kuch time akele mein bitana tha. Uske baad me apne guidance ke paas jake boli ke mujhe abhi ghar jana hai ek emergency agaya hai. Akash wohi pe thi akash ne bola ushe bhi ghar se cl aya tha ushi bhi jana hai ghar. Akash ke ghar bhi kolkata mein thi aur mera bhi. Humlog eksath ek hi flight me ghar jane ke liye nikli. Maan mein accha hi lag raha tha mujhe kiyu ke akash ke sath aur kuch waqt mil gaya sath mein. Flight me Maine usse pucha hum Dono ka coincidence hogaya ek hi time pe, ushne haas ke bola mera koi emergency nehi tha ghar jane ke, Maine bola phir kiyu tumne jhoot bola. Ushne mere taraf dekh ke bola tumhare liye, tumhare bina ey tour accha nehi lagta na. Ushne ey bhi bola sayed pasand karne laga hoon tumhe. Dosti se kuch jyada hogaya hai ey rishta. Kolkata Airport agaya. Ey wala journey to khatam hogaya tha mera aur akash ka, par suru hogaya tha life partner hone ka journey.

Do follow The Exploring Minds
THANK YOU!

--

--

THE EXPLORING MINDS

The Exploring Minds is an international publication house, customized hub and a PR agency - Solobooks, Anthologies, Press Releases, Awards, Records - 9348630343