यहां साहब अब शमशान है

Abhi Makker
Aching Chunks of My Anatomy
2 min readJul 3, 2020

Yha to bas ab sirf shamshaan hai
Yha befikari ka nhi lekin bikhra hua asmaan hai
Yhi hoti thi pehle humari jannat
Ab yhi narak nagri humara jahan hai
Kasoorwaro ki nhi bekasuro ki bichhi yha darjano jaan hai
Yha to bas ab sirf shamshaan hai

Udhar se ek awaz aayi
ki mere bache ka school jala dia
Aur ek bachhe ki awaaz aayi
Ki mera to ma baap ghar jala dia
aur ek lachaar ma baap ki awaaz aayi
Ki mera to bachha hi jala dia
Yha sirf maut bikti hai maut ka hi daan hai
Yha to bas ab sirf shamshaan hai

Jala ishwar ka ghar Jali mandir mazaar hai
Danda saria eint bandook unke pass sab auzaar hai
Kehte hain vo ki ye to unke ishwar k hit ka karya tha
Islie isey choti tak pahuchana to anivarya tha
Islie isme konsa koi apraadh ya koi apmaan hai
yha ab na hoti koi aarti gurbani na hoti koi azaan hai
Yha to bas ab sirf shamshaan hai

galey lagne wale padosi hue ab aghyaar hai
Jaley kitno k gharbaar jaley kitno k parivar hain
chhin gye us bacchi k pita chhin gyi uski muskaan hai
maala japti bhukhar m tapti us budhi ma k ab nikle praan hai
vo dehshat ka shikar hui shayad yhi ishwar ka farmaan hai
roz-marra ki zindagi ka har aadmi ab yha pareshaan hai
is gali us chaukhat jo dhundey apna gum samaan hai
Looti kisi ki jeevan-bhar poonji looti kisi ki yha dukaan hai
Dhool dhuein m dhaaya hua dikhta vo vha makaan hai

is rakh m ab unke apne hain
isi rakh m ab unke sapne hain
Kisi k hath to is dardnaak manzar ki kamaan hai
Koi to hai jo isme dekh rha apni shaan hai
paiso k liye bika kahin kisi ka zameer or imaan hai
nafrat failati kahin to kisi ki zubaan hai
koi to shrafat ki shakal m bna haivaan shaitaan hai
thokre khata, dar dar bhatakta to aam insaan hai
lachaar yha garib, kisan, aur border par jawaan hai
Kaha hai sarvgyani shaktishali kya vo in vaardaat se anjaan hai?
Ya bhagwan b insaano ki kartoot se ho rha hairaan hai
darindo ka sauda hone lga hai Maut ka hota jha vyapaar hai
Insaano ki galiyo m kha bacha koi insaan hai?
apni hi gali apna hi ghar jab hua shamshaan kabristaan hai
yahan to bas ab sirf shamshaan hai
yahan to sahab bas ab sirf shamshaan hai
~abhi Makker

Dedicated to victims of recent riots…//

--

--

Abhi Makker
Aching Chunks of My Anatomy

An engineer by profession, and poetically engineering confessions.