kya tumhare ishwar ki mere ishwar se baat hoti hai?

Abhi Makker
Aching Chunks of My Anatomy
2 min readSep 10, 2020

apne dharm k liye aj jo ek aur nayi jang hai
humein nhi fark padta jo vo ghr m sab dang hai
bahar se aag lga di aur khoob ma bhen ki gaalia dedi
do pehar m ye kehar dekh kar kuch logo ne taalia b dedi
is yudh k jahshne shor m kahin maut ki baraat b hoti hai
kya tumhare ishwar ki mere ishwar se baat hoti hai?

aj jo hum jeetein hain kyuki kal hum yudh m haare te
aj tum ishwar ko pyaare hue kal humare wale pyaare te
ab jo tumhare shareer par diye humne ghave bde hai
ab jo ishwar ki taraf tumhari rooh k pav bde hai
puchna unse ki kya unki apas m mulakat hoti hai
kya tumahre ishwar ki mere ishwar se baat hoti hai?

mene to ye suna tha ishwar k roop anek hai
mene to kher ye b suna tha ishwar ek hi hai
dikhne ko toh kehte h bhagwan insaan m hi dikh jayega
vse insano k hote to shayd ik din neela asmaan b bik jayega
kyuki dharti pr to roj darjano paapo ki raat hoti hai
kya tumhare ishwar ki mere ishwar se baat hoti hai?

insan insano se or khud khuda se juda hai
ik insan ki chaathi m aj fir khanjar chubha hai
or vo bebas insan kafan se ja judda hai
or vo kehte hain insano m basta khuda hai
yahan sitam maatam ki khoob barsaat hoti hai
bekasuro ki sahab yahan jaan jaati hai
or deshatgardo ki yahan daat hoti hai
kya tumhare ishwar ki mere ishwar se baat hoti hai?

mile agar tumhare ishwar to kehna unhe
ki ik mashwara hai ise sab ishwar dhyan se sune
vo ye hai ki aap sab ik din beth kr salaah krlo
dharti pr to na ho jannat m aap log hi sulaah krlo
kehna unhe yha insaniyat ki roz maat hoti hai
kya tumhare ishwar ki mere ishwar se baat hoti hai?
~abhi Makker

--

--

Abhi Makker
Aching Chunks of My Anatomy

An engineer by profession, and poetically engineering confessions.