Koshish muskuraane ki
Jaari hai koshish muskuraane ki,
Labzon mein ghum ko dubaane ki.
Har din ki is kashmakash mein kho diya khud ko,
Daudta hai waqt, jaldi hai use guzar jaane ki.
Ik taraf hain saaye mere zehan me jhoojhte mujhse,
Ik taraf zamaana, aadat hai jise mujhe aazmaane ki.
Phir bhi ummeed liye guzarte hain mushkilon se hum,
Agar hai Khuda, toh sifaarish hai usse meherbaani ki.
Yaadein taaza hai un lamhon ki, jab paaya thaa chain,
Raah dekhein, us pal ke phir se aane ki.
Jaari hai koshish muskuraane ki,
Labzon mein ghum ko dubaane ki.