Arzo

Abdul Rafay Shaikh
arafays
Published in
1 min readDec 4, 2013

Ik Baat jo Main Keh Sakoon Yehi Arzo hai ab talak
Na hon faasle ab darmian Yehi Arzo hai Ab Talak. . .

Meri Be-khudi ka Qaraar tu meri justuju ka payaam hai
Meri dharkanon ko mile sukoon yehi Arzo hai ab talak. . .

Mera jism bhi tu meri jan bhi tu meri koshishon ka ajr hai
Is mehnat ka mujhe sila mile yehi Arzo hai ab talak. .

Main jo Chalta hon in raston per bhatak jata hon in sapnon main
Is saraab ko ik disha mile yehi Arzo hai ab talak. . .

Ik sansani si hai ruh main ik kapkapi si hai jism main
Tujhe dhoondta hon main her taraf mujhe mil jae tu bus ab

Mujhe mil jae sabr bus yehi Arzo hai ab talak. .
Teri dosti meri zindagi teri be-rukhi meri maut hai

Meri zindagi ko jila mile yehi Arzo hai ab talak. . .
Teri be-rukhi meri jan-e-man tere husn ki miraas hai

Teri ik nazar jo idhar pare yehi Arzo hai ab talak. . .
Teri ruh ko jo main chu sakoon tere humqudum jo main chal sakoon
Isi lamhe ki mujhe talash hai yehi Arzo hai ab talak. . .

--

--

Abdul Rafay Shaikh
arafays
Editor for

JAMstack Developer with a passion for performant, modern, accessible and search engine optimized web applications. Experienced in @vuejs, @netlify , @firebase