WOO Network ne Avalanche par expand kiya

Avalanche India
Avalanche-India
Published in
3 min readDec 8, 2021

WOO ka liquidity network, applications, users, aur assets ko network se jod kar Avalanche Ecosystem ke development ko support karega.

Avalanche blockchain support ab WOO Network par live hai, ek essa platform jo users ko exchanges, institutions, aur DeFi platforms se jodta hai. Iske sath, WOO token ko Avalanche Bridge mein joda ja raha hai, WOO network ne bridge ko liquidity mein $15M ke sath joda, jisse network mein token utilization shuru karne mein madat mili.

Apni ever-expanding multi-chain strategy ke part ke roop mein, WOO Network Avalanche ke tezi se badte DeFi ecosystem ke liye Aave, Curve, Trader Joe, Pangolin aur Benqi jaise bluechip dApps ke sath apni signature smart liquidity la raha hai. Ismein se koe assets aur Dapps Avalanche mein native hain, jo WOO network ke liye applications ko cryptocurrency traders ke wider audience ke liye lane ke ek unique opportunity provide karte hain.

Blizzard Investment Fund ne WOO Network mein ek undisclosed strategic investment kiya, jo WOO Network ke pehle announced $30 million Series A funding round ke part ke roop mein tha.

Blizzard $200M se adhik ka fund hai jo Avalanche public blockchain aur usse aage ke builders aur users ke ecosystem mein development, growth, aur innovation ko tez karne ke liye dedicated hai. Yeh Avalanche Foundation, Ava Labs, Polychain Capital, Three Arrows Capital, Dragonfly Capital, CMS Holdings, Republic Capital, aur bhi bahut ke contribution se bana hai.

Expansion ka pehla step Avalanche ko WOO X mein C-Chain integration hai, jo users ko CeFi aur DeFi ke bina seamlessly assets deposit aur withdrawl ki permission deta hai.

WOO Ventures Avalanche par early-stage projects building ka promise karne aur support karne mein bhi role play karega. WOO Ventures mentorship, capital, liquidity, marketing, technical expertise, tokenomics aur WOO Network ke partner exchanges mein listing ke sath kae tarah ke support offer kar raha hai.

“Avalanche mein 2021 mein tremendous growth hue hai, aur unke on-chain TVL, passionate community, aur technical advantages unhe trading infrastructure building ke liye ek ideal environment banate hain. Hum unhe ek partner aur investor dono ke roop mein shamil karne ke liye thrilled hain, jisse hame institutional-grade liquidity ko masses tak pahuchne mein madat milte hai,” — WOO Network mein Chief of Ecosystem Development, Ran Yi ne kaha.”

WOO Network ke bare mein

WOO Network traders, exchanges, institutions, aur DeFi platforms ko connect karne wala ek deep liquidity network hai, jo kam ya zero cost par best-in-class liquidity aur trading execution ke liye democratized access ke sath hai. Iska flagship product, WOO X, ek professional trading platform hai jismein customizable modules hai aur deep liquidity ke sath lower se zero-fees hai. WOO Network ko Kronos Research dwara incubate kiya gaya tha, jo ek quantitative trading firm hai jo daily volume mein $5–10B generate karte hai.

Avalanche ke bare mein

Avalanche fastest smart contact platform hai blockchain industry mein, measure kia jata hai time-to-finality dwara. Avalanche blazingly fast hai, low cost, aur green hai. Koi bhi smart contract- enabled application outperform kar sakta hai agar voh deploy karega Avalanche par. Vishwas nahi? Try karein koi bhi app Avalanche par aaj hi.

Website | Whitepapers | Twitter | Discord | GitHub | Documentation | Forum | Avalanche-X | Telegram | Facebook | LinkedIn | Reddit | YouTube |

--

--