Islamic Quiz 193
--
Islamic Quiz 193
Roza kis ke liye Rakha jata hai?
A. Allah ke Liye
B. RasoolAllah (ﷺ) Ke Liye
C. Nek Logo ke Liye
D. Sahih Jawaab Ka Intezar
ka Sahih jawab hai : Option ( A )
✅ Allah ke Liye
Jawab ke liye Video Dekhe
Roza Khalis Allah ke liye Rakha Jata Hai.
Daleel :
Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me Apne Bando ko Nasihat karte hue farmata hai:
“Keh do, Beshak Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna ALLAH hi ke liye hai jo saare jahan ka paalne wala hai.”
– Surah Al-Anaam 6:162
Hadees-e-Khudsi ka mafhoom hai ke:
Rasool’Allah (ﷺ) riwayat karte aur farmatey hai ke –
Allah Ta’ala farmata hai : “Banda Apna Khana Peena aur apni Shahwat mere liye Chorrta hai, Roza Mere liye hai aur Mai hi iska badla dunga.”
– (Sahih Bukhari, Vol 3, H-1894)
Qurane Kareem ki Mukaddas Aayat aur Hadeese Mubarak me Unn Hazraat Ke liye bhi ek Nashist hai Jo Apni Ibadate Gairo ki taraf Mansub karte hue Jumerat ya Jumme ko Bujurgane Deen ki Taraf Nisbat karte hue Roza Rakhte hai.
Allah Ta’ala hum sabko hidayat dey,. “Ameen Allahumma Ameen”
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com