Foreign Me Job Kaise Paye: Kam Padhai ki hai to bhi Videsh me Milegi Naukri

Hindi Me Sab
Learn English Online
3 min readSep 2, 2022

Kya aap bhi yeh sochte hain ki foreign me job kaise paye ya foreign me job kaise mil sakti hai? Agar aapka bhi man hai foreign mein kaam karne ka aur job paane ka to yeh post zaroor padhein kyunki yeh post aap hi ke liye to hai.

Hum yahan aapko batayenge ki agar aapne kam padhai ki hai to bhi aapko videsh me naukri mil sakti hai.

foreign me job kaise paye
Foreign me Job kaise paye

Foreign Me Job Kaise Paye

Agar aap kisi karanvash ya kisi bhi reason ki vajah se padhaai nahin kar paye aur aap videsh mein naukari karna chahte hain to pareshan hone ki koi jarurat nahin hai.

Aap bhi aasani se dusre desh mein naukari karke achcha paisa kama sakte hain. To chaliye aaiae jante hain ki videsh mein naukari ke liye kya kya option available hai.

Foreign Me English Teacher ki Job kaise paye

Doston bahut se desh aise hain jahan ke log angreji nahin bol paate kyunki angreji unki matrabhasha nahin hai.

Aur ham sabhi jante hain ki har desh ke liye angreji kitni jaruri bhasha ban chuki hai. Aise mein agar aap english bol sakte hain aur bol paate hain acchi to aap bahar aasani se naukari hasil kar sakte hain.

China jaise deshon mein padhne wale bacche hi angreji sikhakar achcha paisa kama lete hain.

Foreign me Job pane ke liye Self-Introduction dena sikhe:

Self-Introduction kaise de

Foreign me Planning Field me Jobs

Saudi arab v dubai jaise deshon mein planning ke kshetra ke liye kafi logon ko ine dinon higher kiya ja raha hai.

Ismein un logon ko jyada naukari milane ke chances diye jaate hain jinko research karke planning karne ki tarkeeb aati ho. Unki planning ke aadhar per project taiyar hote hain.

Wahin dekha gaya hai ki bahut se desh bharat mein apna vyapar badhane ke liye bhartiyon ko hi higher karte hain aur bhartiya bajar ki jankari prapt karte hain.

Advertising and Designing

Khaskar Saudi Arab mein is field mein logon ki bahut jyada avashyakta hai. Aapki ruchi agar vigyapan banane ya fir creative designing mein hai yah aapko aata hai to yahan kisi professional ke andar aap apna carrier shuru kar sakte hain.

Aap Saudi Arabia mein vigyapan aur designing mein bahut aasani se job pa sakte hain. Aapko apne idea ko aur creativity ko unke sath share karna hai jiske liye aapko bahut hi kamal ke paise offer kiye ja sakte hain.

Aur bahut hi adbhut baat yah hai ki iske liye aapko degree ki nahin balki kam ki acchi jankari honi chahie.

Read: अंग्रेजी सीखने के 10 मजेदार और बेहद आसान तरीके

Travel Jobs in Foreign

Agar aapko travelling ka shauk hai to aap is field mein bahut hi achcha paisa kama sakte hain.

Iske liye aapko videsh ki kuchh companiyon se judna hoga aur uske bad vah jo alag alag travel karvate rahte hain logon ko alag alag deshon mein aapko un logon ko adhik se adhik jankari deni hogi.

Aise logon ki bahut hi jyada demand hai ise travel guide bhi kaha jata hai kuchh aise log jo videshiyon ko bharat ghuma sake isiliye bhartiyon ko jyada naukari di jaati hai videshi companiyon dwara.

Find More Jobs in Foreign Countries

Agar aap videsh jana chahte hain aur aap kisi vishesh kaum ki jankar nahin hai to aap office staff se sambandhit naukari bhi kar sakte hain.

Aisi naukariyan aapko bahut hi aasani se mil jaati hai aur aap dusri currency mein paise kama kar bahut hi acchi kamai kar sakte hain.

Doston foreign mein job pane ke liye jaruri nahin hai ki aapko koi si kshetra mein bahut hi jyada gyan ya bahut hi jyada padhaai hasil ho ya ki hui ho.

Balki foreign mein jobs pane ke liye agar aapko jarurat hai to thodi si research karne ki agar aap acche research karte hain to aap bahut hi aasani se foreign mein jobs pa sakte hain.

Agar aapko hamara yah post foreign mein job kaise paye pasand aaya ho to kripya ise apne doston ke sath apne social media per share avashya karen.

--

--

Hindi Me Sab
Learn English Online

Your favorite articles, information in Hindi. Now learn every little thing in Hindi language. We publish posts regularly that will help you in learning things.