Kabhi kabhi mere dil mein khayal ata hai
Ki is duniya mein football fans na hote to kya hota
Gend ko isharon pe nachane wale ajoobe to bahut hote
Par un ajoobon ko bhagwan banane wale, kadrdaan na hote to kya hota
Kabhi kabhi mere dil mein khayal ata hai
Ki is duniya mein football fans na hote to kya hota
Yeh duniya bhale hi gol hoti tab bhi
Magar ismein koi goal chillane wala nahin hota
10 number ka ishq, nakli 9 ke jalwe aur,
Gehrayee mein baithe midfielder ka jadu batlane wala nahin hota
Mahaan na ban pate Puskas, Pele, Zizou,
Cruyff, Clough, Maldini aur Maradona,
Jab khelte yeh log apas mein
Lekin khali hota Old Trafford, Bernabeu, San siro aur Maracana.
Turkey mein to pathake walon ka diwala pit jata
Dohre muffler ka to awishkar hi na hua hota
Anginat ghatiya manager abhi bhi clubs ko chalate
Agar football fans “Wenger Bahar” jaise naare na lagate
Kaun apne kamre ki deewaron par
Messi aur Ronaldo ke chehre chipkata
Kaun khel khatam ho jane ke baad bhi
Stadium mein 2 ghante tak ansu bahata
Jab koi club ya country ka khel dekhne hi na jata
Danga rokne ke liye police ki zaroorat bhi na hoti
Na koi bhavnaon mein behkar khiladi ko boo karta,
Aur na kisiko faltu mein Cantona jaisi kick padti
Balon d’or, FIFA player of the year
Jaise awards ka matlab bhi ghat jata
Jab award milne walon ko
Na to koi tareef na koi ma behen ki galiyan sunata
Jab jab bhi mere dil mein khayal ata hai
Ki is duniya mein football fans na hote to kya hota
Tab tab dil aur dimag donon yehi kehte hain
Ki fans na hote to yeh khel bhi na hota
Yeh khel hai khiladiyon se par utna hi darshak se bhi
Yeh khel hai khiladiyon ka par utna hi darshak ka bhi