Past — ماضی
Polyglot poetry — Urdu and English
Roman Urdu
Maazi se azaadi paane ki koshish main
kahin apne aap ko peechay chor aae
Ab hum taareekh ke saaye talay
hain wapas apne wajood ko dhoondne niklay
Yeh chupan chupaai
ab humain basar nahi karti
Sooraj dil main liay phirte hain
magar darte hain roshan honey se
English
In the struggle of liberation from the past
we left ourselves somewhere behind
Now, by the guidance of this shadow
we continue our journey, in search of our existence
This hide and seek, does not suit us, anymore
You carry the Sun in your heart
yet remain afraid of being enlightened
Urdu
ماضی سے آزادی پانے کی کوشش میں
کہیں اپنے آپ کو پِیچھے چور آئے
اب ہم تاریخ كے سائے تلے
ہَیں واپس اپنے وجود کو ڈھونڈتے نیکلای
یہ چھپن چوپاای
اب ہمیں بسر نہیں کرتی
سورج دِل میں لیے پھرتے ہَیں
مگر ڈرتے ہَیں روشَن ہنی سے