Asli Khushi

Rizwan Alam
Random thoughts and Poetry
1 min readDec 11, 2022

Agar khush khud hi nahi, toh jahan ki khushi ka kya mol:tu dusre ke haste chehre mat dekh, bas apne ander ke jazbaaton ko tol

Yahan har koi apne khel khel raha hai,kabhi humare sath toh kabhi akele hi

achha hai wo pal jab log aapke sath khelte hai: apke khushiyo ke sath sath apke gham bhi jhelte hai

jaroori hai kuch waqt apne liye bhi rizwan: tum agar khush to kya farq padta log kya bolte hai

samaan ikattha bahut kiya apne zindagi me humne: jab jaroorat padi toh haath khaali hi nazar aaye

kabhi hum seham gaye apne gusse ko soch kar: kabhi humare jazbaat humare upar ubhar aaye

Guroor karne lage chand paise aate hi hum: dekho toh zara, bachho ke bhi par nikal aaye

samajhaata jamana humein jaise humein hai samajh nahi: ab kya unhe samjhaye hum unse aage nikal aaye

duniya waah bahut karegi tu is zamaane se dar: yahan kitne fanne kha aaye aur kitne tujhe nazar aaye

mai chaahon beez bona ishq ka har waqt lekin: kabhi pyar beshumar toh kabhi gussa tar batar aaye

mujhe padhne ke liye shukriya!

--

--

Rizwan Alam
Random thoughts and Poetry

Rizwan is a data analytics professional with hands on experience in SQL, Tableau, Python and Statistics. He is an MBA graduate from University of Delhi.