Kon Ho Tum | Hindi Poetry

Mani Sidhu
The Mani Sidhu
Published in
1 min readSep 27, 2020
Image by Stefan Keller from Pixabay

Shakho se utri dhoop c ho,

Par chandni ka saroop bhi ho,

Taro ki tum low bhi ho,

Or firecracker ka show bhi ho,

Jo bhi ho, gazab hi ho,

Sardio ki gajak ho,

Andheri ghatio me duur chamkti,

Lamp post bhi ho,

Umeed jagati ek dhadak bhi ho,

Manzil ko jati sadak ho,

Yar kon ho tum. ?

Kuch batao na,, mujhe to dikhti sab ho tum,

Kya jo mene kha,

Woh ho tum,

Ya jo sab reh gya

Kya wo ho tum,

Meri ankho ke,

To paar ho tum,

Ek shel shabili,

Beshaak naar ho tum,

Par inqlaabi bhi,

hungaar ho tum…

Yar kon ho tum. ?

Kuch batao na,, mujhe to dikhti sab ho tum,…

Teri Khil khilati hasi,

Rooh me aa basi,

Gilherio ki bhi,

Hai tujme shavi,

Jugnuo ki jagbhuj bati,

Or barish me jese,

sath dhoop ho bhi nikli..

Yar kon ho tum. ?

Kuch batao na,, mujhe to dikhti sab ho tum,…

https://www.youtube.com/watch?v=Feq1Tr0ivDs&t=123s

© Mani Sidhu

--

--