Likhna Achha Lagta Hai

Kaushal Shah
ViewShare
Published in
2 min readDec 23, 2020
Likhna Achha Lagta Hai — ViewShare

Likhna achha lagta hai

Zindagi kitni khubsoorat hai, ye likhne ke baad pata chalta hai

Likhna bohot achha lagta hai

Sukun sa mehsus hota hai

Jab likhta hun sochke Ke Kuchh likhoon aj

Us ehsas ke hone ka, sukun sa mehsus hota hai

Likhna achha lagta hai

Kabhi likhta hun apne bare mein, to kabhi auro ke

Rishton ke bare mein, to kabhi bachpan ke us tute khilono k bare mein

Alfaz likhta hun jo dikhtein hai undekhen unsune

Kavita banake sanjota hun woh sare hasin lamhe

Likhna achha lagat hai

Pappa ki daant, ma ka khana, bhai ke sath bachpan

Ye to zehen mein base yaadon ke woh kamre hai

jinhe likhna aasan to hai, unhe bayan krna mushkil hota hai

lekin wahi likhi nazm, jab logon ki ruh ko ja chhuti hai

Tab zamajhlo apka likha likhne layak kehlata hai

Likhna achha lagta hai

Khayal jaise shabdo ke bina ansuna hai

bachpan ma ki lori bin adhura hai

Bin sahare bekar sa budhapa hai

waise hi nazm bin samai, ek bhik bina bhikhari sa hai

Likhna achha lagta hai

Agar soch likh paya hun aaj apni, to samajh lunga

Ki meri likhai kisiki soch se ja milti hai

Mere Alfaz bayan krte hai meri ruh ke panne

Ye samjha paya to jan lunga

Mera ye likha, apko bhi achha lagat hai

Likhna achha lagta hai

--

--

Kaushal Shah
ViewShare

“It seems as though inspiration strikes at the most unlikely times”