Muthi me raet
kabhi lagta hai, apna bhi waqt aayega,
kabhi lagta hai, waqt kam hai,
kabhi lagta hai, waqt khatam ho raha hai,
kabhi lagta hai, waqt chala gaya
Sapne bechne walon se,
humne liya ek sapna tha,
Sapna tha jo apna kaion ka,
par humara toh kharida tha
Fir Mehnat se bhi ishq kiya,
aur neend se kar liya gila,
Par daud me tha waqt bhi,
Usne humko shikast di
ummed kisi baat ki,
phir dhund lete hai,
jeene ka bahana,
phir dhund lete hai
bahane bane majburi,
majburi majbur pe bhari,
phir har raah dhundli,
majbur ki kaisi pareshani?
kya sach kya bhram,
jab daud-daudna ho jyada jaruri,
Muthi me agar ho raet,
khali honi hi hai hateli