Nadi

Ajinkya Ghadge
WriterInMe
Published in
1 min readApr 19, 2020

Pahadon se nikalti,

Najanti kyun bheti,

Amrut si shuddh,

Bas nikal padti

Kabhi madham, kabhi ugra

kabhi bichadti, kabhi milti

nikal to padi hai

magar wajah na janti

Kuch dost milte, unhe samjhati

Kuch dushman, unse bhagti bachati

Pohonchti, jheel me

Therav ki nahi aadat

kuch der kabhi therti

Therti aur sochti, khud se puchti

Na majil ka pata

na behne ki vajah

par dekh apno ke suck dukh

apna farz nibhati

Sunti Sagar se milna hai,

Jahan sabko saath hi behna hai,

Fir mudti girti soch me gum,

Usko bhi kuch kehna hai

Kisi ka amrit hai kisi ka zeher,

Kabhi usne laya, Kabhi uspe barsa keher,

Nibhaye mane sabke vaade,

Gale ka sarp Nilkanth ke banke

Swal toh sare wohi purane,

Jawab Na tumko milne hai

Behna hai, kabhi rukna hai

Sabko sagar me hi milna hai

--

--

Ajinkya Ghadge
WriterInMe

Hi, I am Ajinkya. Computers and Software. I don’t have many new stories, but what matters are stories that are new for you.