Mein Aur Meray Bully — Last Episode PART 2

Talha Nehal
4 min readOct 20, 2019

--

Photo by Kat J on Unsplash

Link for Episode 1: https://medium.com/@talhanehal/main-aur-meray-bully-d79bf85ce55a

Link for Episode 2: https://medium.com/@talhanehal/mein-aur-meray-bully-episode-2-4e50598d5c61

Link for Episode 3: https://medium.com/@talhanehal/mein-aur-meray-bully-episode-3-91fa4e96da42?source=your_stories_page---------------------------

Link for Episode 4: https://medium.com/@talhanehal/mein-aur-meray-bully-episode-4-2bb2babc512e

Link for Last Episode PART 1: https://medium.com/@talhanehal/mein-aur-meray-bully-last-episode-part-1-dd67c2dd473f

Jawwad was about to kick me real hard but I pushed him down and sat on his chest. And started throwing punches at him, completely immersed. Sir Athar and Sir Huzaifa yelled, “Kiya horha hai wahan? ” And they started running towards us. Out of nowhere Altamash and Areej grabbed me by my arms. Jawwad got up with his blood trickling down his lips and started hitting me. Sir Athar came in between me and Jawwad to stop the beating. And Sir Huzaifa seperated me from Areej and Altamash. We were all taken straight to principal’s office after inquiring us.

Our principal said to us: “I am going to call all your parents and suspend all four of you for two weeks”

Sir Athar and Sir Huzaifa explained that I was only defending myself and should not be suspended. And they told the principal about all the bullying I had gone through.

Prinicpal to me: “Beta, aap meray paas pehlay kyun nhi aye?”

Me: “Sir woh mein darr rha tha”

Principal: “Beta, aap ko mujhse darnay ki zaroorat nhi. Ainda kabhi aisa kuch bhi ho toh mere paas ajana mein dekhlunga. Aur aap teeno mujhe aapne parents ka number den”

Two Weeks Later…

The principal had arranged for all four us to speak about bullying in front of our school mates after classes. He gave me confidence and sent me to first on stage. I stood on the mic gathering my thoughts.

Me: “Abhi jab mein yaad krta hoon toh mujhe takleef hoti hai yaad kr k. Mein kitna bebaas tha bas sehnay k ilawa koi raasta nhi tha. Hum baaz dafa hansi mazaq mein doosron ko bohat takleef de dety hain. Iss baat sae anjaan k samnay walay pae kiya beet rhi hogi. Bullying aik haqeeqat hai aur hum sab ko mil kr iss k khilaf awaaz uthani aur iss larna hai.”

After my speech, Areej went on stage: “Sabse pehlay toh mein Noman say maafi mangna chahta hoon. Meray dost meray sir pae cool bnany ka bhoot sawar tha. Aur mujhe jhoot nhi bolun ga k mujhe mazaa ata tha. Magar mein iss baat sae shayad anjaan tha k mein kitna bara zaalim tha. Mein yeh kehna chahta hoon sab sae k joh hum movies mein aur TV ya Hollywood mein dekhty hain yeh sab kuch filmi hai aur kissi ko bully kr k aap cool nhi bnty.”

Altamash took over from Areej, “Bilkul sahi kaha mere dost aur Noman waqai mein nae bhi tumhe bohat takleef di hai aur tumhara bohat dil dukhaya hai. Ho ske toh mujhe maaf krdena. Aur mein aaj aap sab ko apni kahani sunana chahta hoon. Mein jab Class 3 mein tha toh mujhe bhi bully kiya gaya. Mein roz apne bullies k haathon zulm sehta. Phir mein nae soch liya k mein unn sae toh nhi lar skta magar apna badla doosron sae zaroor loon ga unhey bully kr k. Mein aik haiwan bnta ja rha tha aur aaj mein nae apne haiwaniyat k ainah Noman mein dekha jab woh Jawwad ko zameen pae mukkay mar rha tha. Meri aap sab sae request k aisa zulm kabhi mat kriyega”

Jawwad came and said : “Mujhe apni ghalti ka ehsaas hote hote bohat dair ho gaee. Magar aaj mein aap sab k samaney Noman sae maafi mangta hoon. Na a mein ainda kissi ko bully krunga aur na kissi ko krney dunga yeh meray wadaa hai khud sae. Aur apny teeno doston sae 100 feesad agree krta hoon.”

Finally, our principal came on stage. “Aaj sae aap mein sae koi kissi ko bully krtey hue dikha toh usse sakht sazaa milegi. Jisko bhi koi aisa krty dikhay toh foran kissi teacher ko ya principal ko btaey. Aur tamam teachers sae request hai k khmaosh tamashi na bne aur iss burai ko mitaany mein school k saath den. Bullying yaqeenan aik burai hai aur bohat bara zulm jisse humein mil kar khatam krna hai. Iss k hamari physcial aur mental health pae bohat sae manfi asraat hain. Toh aaen hum sab waada kren k hum bullying k khilaaf har mumkin action lengy. Aur mujhe aaj bohat khushi hai hum ab dosroon school k saath mil kr bullying k maslay ko hal krne k liye aik orangisation banen gaey. Ab sab loug aapne ghar ja sktey hain”.

THE END.

--

--